Veer Zaara

Ye Hum Aa Gaye Hain

Veer Zaara


Lehraati huwi raahein, khole huwe hain baanhein 
Ye ham aa gaye hain kahaan 
Palkon pe gehre halke, hai reshmi dhundhalke ke 
Ye ham aa gaye hain kahaan 
Aa… ye ham aa gaye hain kahaan 

Woh dekho zara, parbaton pe ghataayein 
Hamaari daastaan, holle se sunaaye 
Suno toh zara, ye phoolon ki waadi 
Hamaari, hi koyi, kahaani hai sunaati 
Sapnon ke is nagar mein, yaadon ki rehguzar mein 
Ye ham aa gaye hain kahaan 
Haan.. ye ham aa gaye hain kahaan 

Jo raahon mein hai, rut ne sona bikhera 
Sunehra huwa, tera mera savera 
Zameen so gayi, barf ki chaadaron mein 
Bas ek, aag si, jalti hai do dilon mein 
Hawaayein sansanaayein, badan kaanp jaayein 
Ye ham aa gaye hain kahaan 
Haan ye ham aa gaye hain kahaan 

Ye barsaat bhi, kab thamein kaun jaane 
Tumhein mil gaye, pyaar ke sau bahaane 
Sitaaron ki hai, jaise baaraat aayi 
Hamaare liye, raat yun dagmagaayi 
Sapne bhi jhilmilaayein 
Dil mein diye jalaayein 
Ye ham aa gaye hain kahaan 
Haan ye ham aa gaye hain kahaan 

Haan ye ham aa gaye hain kahaan