Lehraati huwi raahein, khole huwe hain baanhein Ye ham aa gaye hain kahaan Palkon pe gehre halke, hai reshmi dhundhalke ke Ye ham aa gaye hain kahaan Aa… ye ham aa gaye hain kahaan Woh dekho zara, parbaton pe ghataayein Hamaari daastaan, holle se sunaaye Suno toh zara, ye phoolon ki waadi Hamaari, hi koyi, kahaani hai sunaati Sapnon ke is nagar mein, yaadon ki rehguzar mein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan.. ye ham aa gaye hain kahaan Jo raahon mein hai, rut ne sona bikhera Sunehra huwa, tera mera savera Zameen so gayi, barf ki chaadaron mein Bas ek, aag si, jalti hai do dilon mein Hawaayein sansanaayein, badan kaanp jaayein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan Ye barsaat bhi, kab thamein kaun jaane Tumhein mil gaye, pyaar ke sau bahaane Sitaaron ki hai, jaise baaraat aayi Hamaare liye, raat yun dagmagaayi Sapne bhi jhilmilaayein Dil mein diye jalaayein Ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan Haan ye ham aa gaye hain kahaan