Yash: Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher Mauj dar mauj, behti huwi zindagi Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai Aur yaadon ki daaliyon par Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain Lata: Aa… haa ho ho… aa haa ho ho… hmm… hmm… Sonu: Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai Sonu: Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai Kyun fiza, rang chhalka rahi hai Mere dil bata aaj hona hai kya Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai Zindagi, kis taraf jaa rahi hai Mere dil bata kya hai ye silsila Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai Gaa rahi hai, gaa rahi hai Lata: Ha ha ha ha aa…aa…, hmm.., aa ha ha ha… Sonu: Jahaan tak bhi jaayein nigaahein, baraste hain jaise ujaale -2 Saji aaj kyun hain ye raahein, khile phool kyun hain niraale Khushbuwein, kaisi ye beh rahi hain Dhadkanein jaane kya keh rahi hai Mere dil bata ye kahaani hai kya Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai Gaa rahi hai, gaa rahi hai Lata: Aa... aa... Sonu: Ye kiska hai chehra jisse main, har ek phool mein dekhta hoon -2 Ye kiski hai awaaz jisko, na sun ke bhi main sun raha hoon Kaisi ye aahatein aa rahi hain, kaise ye khwaab dikhla rahi hain Mere dil bata kaun hai aa raha Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai Gaa rahi hai, gaa rahi hai Lata: Aa… aa… aa… aa aa.... aa...