Sunidhi Chauhan

Meri Zindagi Mein Ajnabee

Sunidhi Chauhan

--FEMALE--
Na chaand ka, na taaron ka
Na phoolon ka, na bahaaron ka
Na nazaaron ka, na ishaaron ka
Na apnon ka, na begaanon ka

Meri zindagi mein ajnabi ka intezaar hai
Main kya karoon, ajnabi se mujhe pyaar hai
Voh ajnabi jaana pehchaana
Sapnon mein uska hai aana jaana
Aa ajnabi, tere liye dil yeh mera beqaraar hai

--MALE--

Khushbuon ki gali mein, in hawaaon mein dekha
Maine chehraa uska dilkash fizaaon mein dekha

--FEMALE--
Oh, bekhayaal karta hai, voh bada deewana hai
In labon ka pyaasa hai, dil ka aashiqaana hai
Bekhayaal karta hai, voh bada deewana hai
In labon ka pyaasa hai, dil ka aashiqaana hai

--MALE--
Voh ajnabi jaana pehchaana
Sapnon mein uska hai aana jaana

--FEMALE--
Aa ajnabi, tere liye dil yeh mera beqaraar hai

--MALE--
Meri zindagi mein ajnabi ka intezaar hai
Main kya karoon, ajnabi se mujhe pyaar hai

--FEMALE--
Ab to uske liye hi raat bhar jaagti hoon
Aaye ghadiya milan ki, yeh duaa maangti hoon

--MALE--
Ho, jaaneman mohabbat mein faasla zaroori hai
Dhadkanein yeh kehti hai, chaar din ki doori hai
Jaaneman mohabbat mein faasla zaroori hai