Sunidhi Chauhan

Tu Mere Dil Ki Pehli Khwaish

Sunidhi Chauhan


Kehthe Hai, Kabhi Na Kabhi Kahin Na Kahin Kisi Se Pyar Zaroor Hotha Hai
Koi Na Koi Kahin Na Kahin Kise Pe Zaroor Mara Hotha Hai
Dil Pe Pyar, Pyar Ki Chaah, Aur Wahin Chaahath Ban Ke Dil Mein Khwaish

Tu…Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu…Mere Sapno Ka Jahaan Ho
Tu…Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan
Mehfuz Rakhunga Palko Mein, In Lamhon Ke Yeh Silsilein
Har Pal Dil Par Tere Yaad Mein Baita Rahunga Tere Khwab Mein
Faryaad Karthi Yeh Zindagi Awaaz Karthi Yeh Dil-Lagi
Ummeed Ka Inthehaan, Hasrath Na Ban Ke Reh Jaaye

Dil Mein Base Ho Tum, Nazron Mein Tum, Meri Arzoo Ki Gehraiyon Mein Tum.
Bahon Ki Darmiyan, Saanson Ne Kuch Kahan, Yaadon Ki Dastan, Ab Kar Rahe Hai Bayaan
Chodd Na Jaana Mujhe Manzil Ki Rahon Pe, Meri Manzil To Hai Teri Khwaish

Tu…Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu…Mere Sapno Ka Jahaan Ho
Haan Bethab Dil Yeh Kehtha Hai
Mere Dil Mein Aa Bas Ja
Khamoshh Thi Yeh Dua, Jaane Kar Kar Karjaaye
Madhosh Thi Yeh Fiza, Baahon Mein Apne Bulaaye
Aankhon Mein Aankhen To Dhal Gaye
Ehsaas Rangon Mein Khul Gaye
Saanson Ko Mazil Mil Gayi
Baathon Ko Manzil Bathaade

Tum Ho Sirf Meri, Sirf Meri. Meri Bandage, Meri Ibadath. Aur Isi Ibadath Mein Nazar Aa Raha Hai Tumhara Chehra. Chehra Jo Meri Dua Mein Bas Chuka Hai Aur Tumm Bangaye Ho Meri Khwaish…..

Tu…Mere Dil Ki Pehli Khwaish
Tu…Mere Sapno Ka Jahaan Ho
Tu…Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan

Tu…Meri Khwabon Ki Mazil Hai
Mere Armaano Ki Dastaan