Woh jo kabhi sardiyon mein dhoop si thi Garmiyon mein chaanv si Maujeedgi teri kaha gayi Woh patjhad ke mausamon mein Ikk haryali jo layi thi Woh baarishein kaha chali gato Ab aankhen meri tujhe dhoondha kare Tu mile na agar toh yeh roya kare Faasley yeh kam karoon main kisi tarah Dard mein marham banu main kisi tarah Faasley yeh kam karoon main kisi tarah Dard mein marham banu main kisi tarah Mere maathe pe silvatein jo hain Aake inhe mita do na Aansu mere bhatakte phirte hain Aake inhe panah do na Kuch kami si hai kuch nami si hai Aansuon se bhara hoon main Band teri aankhein jabse hai Saansein roke khada hoon main Saansein roke khada hoon main Dard mein marham banu main kisi tarah Dard mein marham banu main kisi tarah Jin diwaaron ko saath mein Mere milke tune sajaaya tha Un diwaron pe rang hi nahi Jo kabhi tera saaya tha Mere aangan mein ek hansi teri Jab kabhi bhi khankti thi Gham sabhi door hote the Mere saari khushiyan mehakti thi Sari khushiyan mehakti thi Saath mein har dum rahu main kisi tarah Dard mein marham banu main kisi tarah