tanhaai, tanhaai dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi har khushi so gayi, zindagi kho gayi tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai khwaab mein dekha tha ek aanchal maine apne haathon mein ab toote sapnon ke shishe chubte hai in aankhon mein khwaab mein dekha tha ek aanchal maine apne haathon mein ab toote sapnon ke shishe chubte hai in aankhon mein kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi kyoon aisi umeed ki maine jo aise naakaam hui door banaayi thi manzil to raste mein hi shaam hui kyoon aisi umeed ki maine jo aise naakaam hui door banaayi thi manzil to raste mein hi shaam hui ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi tanhaai, tanhaai, jaise andheron ki ho gehraayi tanhaai, tanhaai, jaise andheron ki ho gehraayi tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai