Ek bar dharti par aakar dekh jara bhagwan tere hatho aaj huwa barabad tera insan dekh jara bhagwan, aakar dekh jara bhagwan julm kiya kyon palanhare, chita ban gayi hai dware dware mann ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan dekh jara bhagwan, aakar dekh jara bhagwan bichhad gaya hai bahan se bhayi, dulhan ki tuti shehanayi hay pita ne marte dekha apna putra javan dekh jara bhagwan, aakar dekh jara bhagwan mandir ki ro rahi divare, masjid bhi abb yahi pukare wahi hai dharti, wahi gagan hai, kaha tera ima dekh jara bhagwan, aakar dekh jara bhagwan tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa badal dal abb nam too apna o rahbar rehman dekh jara bhagwan, ek bar dharti par aakar dekh jara bhagwan