Kya hua tera waada woh kasam woh iraada Bhoolega dil jis din tumhe, voh din zindagi ka aakhri din hoga Kya hua tera waada woh kasam woh iraada Yaad hai mujhko tune kaha tha, tumse nahin roothengey kabhi Dil ki tarah se haat mile hain, kaise bhala chootengey kabhi Teri baahon mein beeti har shaam, bewafa yeh bhi kya yaad nahin Kya hua tera waada.............. O kehne waale mujhko farebi, kaun farebi hai yeh bata Woh jisne gham liya pyaar ke khatir, yah jisne pyaar ko bech diya Nasha daulat ka aisa bhi kya, ke tujhe kuch bhi yaad nahin Kya hua tera waada............