Aye gulbadan, aye gulbadan Phoolon ki mehak kaanton ki chubhan Tujhe dekh ke kehta hai mera man Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye Kya haseen mod par aa gayi zindgani Ki haqeeqat na ban jaaye meri kahani Jab aahen bhare ye thandi pawan Seene mein sulag uthti hai agan Tujhe dekhke kehta hai mera man Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye Kya ajeeb rang mein saj rahi hai khudaai Ki har cheez malik ne hai sundar banai Nadiyon ka chamakta hai darpan Mukhda dekhe sapno ki dulhan Tujhe dekhke kehta hai mera man Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye Maein tumhi se yoon aankhen milata chala hoon Ki tumhi ko maein tumse churaata chala hoon Mat poochho mera dewaanapan Aakash se oonchi dil ki udan Tujhe dekhke kehta hai mera man Kahin aaj kisise mohabbat na ho jaaye Apni aankhon mein basaa kar