Aaj puraani raahon se koi mujhe aawaaz na de Dard mein dubey geet na de gham ka sisakta saz na de Beete dinon ki yaad thi jinmein maein woh tarane bhool chuka Aaj nai manzil hai meri, kal ke thikaane bhool chuka Na woh dil na sanam, na woh deen dharam Ab door hoon sare gunahon se Aaj puraani raahon se ......... Toot chuke sab pyar ke bandhan aaj koi zanjeer nahin, Sheesha-e-dil mein armaanon ki, aaj koi tasveer nahin Ab shaad hoon maein aazaad hoon maein, Kuch kaam nahin hai aahon se, Aaj puraani raahon se ......... Jeewan badalaa, duniyaan badalee, man ko anokhaa gyaan milaa Aaj mujhe apane hee dil me, ek nayaa insaan milaa Pahuchaa hoo wahaa, naheen door jahaa Bhagawaan bhee meree nigaahon se Aaj puraani raahon se ........