kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein na bacha-bacha ke tu rakh ise, tera aaeena hai vo aaeena ke shikasta ho to azeeztar hai nigaah-e-aaiinaasaaz mein na vo ishq mein raheen garmiyaan, na vo husn mein raheen shokiyaan na vo gazanavi mein tadap rahi na vo kham hai zulf-e-aayaaz mein main jo sar-ba-sajada kabhi huaa, to zameen se aane lagi sada tera dil to hai sanam aashanaa, tujhe kya milega namaaz mein kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar a libaas-e-majaaz mein ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein