Kavita Krishnamurthy

Maiya Yashoda

Kavita Krishnamurthy


maiyya yashoda ye tera kanhaiyya
maiyya yashoda ye tera kanhaiyya
panghat pe meri pakde hai baiyyaan
tang mujhe karta hai sang mere ladta
hay

raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se

maiyya yashoda ye tera kanhaiyya
panghat pe meri pakde hai baiyyaan
tang mujhe karta hai sang mere ladta
hay

raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se

gokul ki galiyon mein jamuna kinaare
vo to hai kankaniya chhup chhupke maare
natkhat adayein soorat hai bholi
holi mein meri bhigaaye vo choli

baiyyaan na chhode
kalaiyyaan marode

baiyyaan na chhode kalaiyyaan marode
paiyyaan padoon phir bhi peechha na chhode
meethi meethi baaton mein mujhko phasaaye
hay

raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se

jab jab bajaaye mohan muraliya
chhan chhan chhanakti hai meri paayaliya
neinon se jab vo kare chhedkhaani
dil thaame reh jaaye prem deewani

sadh budh gawaayi
neendein udaayi

sadh budh gawaayi neendein udaayi
jo karne baithi thi vo kar na paayi
badi mushkil se dil ko sambhaala
hay

raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se main bachi
raamji ki kripa se

gokul ka kaanah re dil mein samaaya
main bhaagyashaali inhein maine paaya
maana ki sabke hain ye kanhaiyya
kehlayenge bas tumhaare hi maiyya

pyaara piya hai
tumne diya hai

pyaara piya hai tumne diya hai
mamta ke aanchal mein humko liya hai
charnon mein tere o maa humko rehna hai

raamji ki kripa se haan ji haan
raamji ki kripa se haan ji haan
raamji ki kripa se