Kavita Krishnamurthy

Jaana Hain Jaana Hain (Male)

Kavita Krishnamurthy


jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
na koi apna hain na koi thikana hain
sab raaste naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain 
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
sab raaste naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain 
jaana hain jaana hain

kya kabhi sahil bhi 
toofan mein behtey hain
sab yaha asaan hain
hausle kehte hain
sholo pe kaanto pe 
haske chal sakte hain
apni takdeero ko
hum badal sakte hain
bigde halato mein
dil ko samjhana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain

khwaabon ki duniya mein 
yaadon ke reyley mein
aadmi tanha hain
bhid mein mele mein
zindagi mein bhi 
aaisa mode bhi aata hain
paav ruk jaat hain
waqt tham jaata hain
aaise mein toh mushkil 
aage badh pana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
na koi apna hain na koi thikana hain
sab raaste naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain 
jaana hain jaana hain