-Chaand Mere Dil Ke Aankhon Ki Taare Tu Kyon Hai 
Maddham Maddham Maddham Maddham
Neendiya Ke Badle Aankhon Mein Aason Tujhko Saathi Kaisa Gham
E-Chaand Mere Dil Ke Aankhon Ki Taare Tu Kyon Hai 
Suna Tera Mukaddar Hai Suna Tera Mukaddar Hai Ja Aasman Pe Tera Ghar Hai
Tanhayi Teri Humsafar Hai Bas Aakhri Tera Safar Hai 
Ghum Se Bahri Liptisi Door Aahein Bhari Hawaon Se Door 
Nafrat Bhare Saagar Se Door Jo Dil Ko Jala De Us Agni Se Door
Us Agni Se Door Us Agni Se Door Us Agni Se Door
Kehne Ko Door Hai Par Lagta Hai Har Pal Tu Hai Yahin 
Humdum Humdum Humdum Humdum 
Yaadon Mein Teri Jeene Mein Bas Hum Khushiyon Mein Hoga Tera Gham
Zulmo Sitam Ka Hai Jahan Zulmo Sitam Ka Hai Jahan
Hai Qaid Mein Uski Meri Jaan Kyon Bekhabar Hai Tu Hai Khuda
Tujhko Mubarak Tera Aasaman Bebas Hoon Mein Kamzor Nahin
Koyi Nahin Tanha Sahi Himmat Ho To Mushkil Nahin 
Oh Hausla Agar To Manzil Door Nahin Manzil Door Nahin
Manzil Door Nahin
Umeed Ke Sahare Koyi Kyon Haare Chalte Chale Tam Tam Tam Hardam
Khud Pe Yakin Hai To Kya Kami Hai Do Din Ka Hai Mehmaan Yeh Gham

Tell A Friend