Jagjit Singh

Dard Ke Phool Bhi

Jagjit Singh


Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain -2
Zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain

Us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi -2
Sar jhukaaye huey chupchaap guzar jaate hain

Raastaa roke khadi hai yahi uljhan kabse -2
Koi poochhe to kahen kyaa ki kidhar jaate hain
Zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain

Naram aavaaz, bhali baaten muhazzab lahje -2
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hain -2
Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
Zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain

From-devendra,kgmu...lucknow...

Cookie Consent

This website uses cookies or similar technologies, to enhance your browsing experience and provide personalized recommendations. By continuing to use our website, you agree to our Privacy Policy