Abhi wo kamsin ubhar raha hai Abhi hai us par shabaab aadha Abhi jigar mein khalish hai aadhi Abhi hai mujhpar itaab aadhaa Mere sawaal-e-wasl par Tum nazar jhuka kar khade huye ho Tumhi bataao ye baat kya hai Swaal poora jawaab aadhaa Laga ke laare pe le toh aaya hoon Sheikh sahaab ko maiqade tak Agar ye do ghoont pi le Milege mujhko sabab aadha Kabhi sitam hai kabhi karam hai Kabhi tawajjo kabhi tagaful Ye saaf zaahir hai mujhse ab tak Hua hoon main kaamyaab aadhaa