Hariharan

Ajeeb Saaneha Mujh Par

Hariharan


ajeeb saaneha mujh par guzar gaya yaaro 
main apne saaye se kal raat dar gaya yaaro 

har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundhala 
har ek zakm mere dil ka bhar gaya yaaro 

bhatak rahi thi jo kashti vo gaqr-e-aab hui 
chadha hua tha jo dariya utar gaya yaaro 

vo kaun tha vo kaha ka tha kya hua tha use 
suna hai aaj koi shaks mar gaya yaaro