jahaan talak bhi ye sahara d ikhaai deta hai meri hi tarah se akela dikhaai deta hai na itan i tez chale saraphiri hawa se kaho shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken pas-e-gubaar bhi kya kya di khaai deta hai