Alka Yagnik

Bant Raha Tha Jab Khuda (feat. Udit Narayan & Shankar Mahadevan)

Alka Yagnik


Mai kyun daman ko phailau, mai kyun koyi duwa mangu
tujhe jab pa liya maine, khuda se aur kya mangu

bant raha tha jab khuda, sare jahan ki naimate
apne khuda se mang li maine teree wafa sanam

meree wafa ki sajh me, gunj rahi hai lay teree
mai bhi hu teree janeja, wafa bhi hai teree
tuhi jo mil gaya mujhe, chahiye aur kya sanam
bant raha tha jab khuda

kash mai apni jindagi pyar me yu gujar du
waqt padhe toh dil ke sath, jan bhi apni var du
shayad isi tarah se ho, pyar kaa hak ada sanam
bant raha tha jab khuda

log yahan tere mere, pyar ko aajhmayenge
tujhko alag satayenge, mujhko alag rulayenge
apna magar hai phaisla, honge naa ham juda sanam
bant raha tha jab khuda