Adnan Sami

Peth Hai Ya Black Hole

Adnan Sami


Mann mein kahin ho lagan, sada rahe jo dhyan magan
mitha phal paayega wahin, bujhegi usiki antar agan

doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara, karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole

uff laddu halwa khir malaayi subah se bane kadhaayi
haan dusara kya nahin koyi kaam, bhais bhi maange rokda daam
yunn toh ban jaayega dhol, peth hai ya black hole
doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole
peth hai ya black hole

jeebh macha rahi hai dhoom, chehra phir bhi hai maasoom
ghar bhaar ko khoob nachaaya, sar saaron ka chakraaya
bhaage har koyi gol gol, peth hai ya black hole
doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole

khaate hi khaate ja, ruko na khaate ja
khaake phir tum so jaao, uthake phir se tum khaao, khaate hi khaate jaao
ho, khaali, haandi khaali, khaali kadaayi, khaali mithaayi
ho bekaar hai dibbe ka dhakkan, andar bacha nahin hai makhkhan
abb kya khaayenge toh bol, peth hai ya black hole
doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole
peth hai ya black hole