A. R. Rahman

Gurus Of Peace

A. R. Rahman


Chanda suraj laakhon taare hain jab tere hi yeh saare
Kis baat par hothi hai phir thakraarein
Keenchi hai lakkeere is jameen pe par na keencho dekho
Beech mein do dilon ke yeh deewaarein

Duniya mein kahin bhi, dard se koyi bhi…
Duniya mein kahin bhi, dard se koyi bhi
Thadpe to humko yahan pe
Ehsaas uske zakhmon ka ho ke
Apna bhi dil bhar bhar aaye roye aankhein

What are u waiting for another day another talk,
Somewhere we have to find a new way to peace
What are you waiting for another sign another call,
Somewhere we have to find a new way to peace!!!

Doori kyon dilon mein rahe faasle kyon badhte rahe
Pyaari hai zindagi hai pyaara jahaan
Rishte badi mushkilon se
bante hai yahaan pe lekin
tootne ke liye bas ek hi lamha

Ishq dava hai har ek dard ki
Zanjeer ishq hai har ek rishte ki
Ishq saari hadhon ko tod daale
Ishq to duniya ko pal mein mita bhi de

Ishq hai jo saare jahaan ko aman bhi de
Ronaq ishq se hai saare aalam ki…

Chanda suraj laakhon taare hain jab tere hi yeh saare
Kis baat par hothi hai phir thakraarein
Keenchi hai lakkeere is jameen pe par na keencho dekho
Beech mein do dilon ke yeh deewaarein

Duniya mein kahin bhi, dard se koyi bhi…
Duniya mein kahin bhi, dard se koyi bhi
Thadpe to humko yahan pe
Ehsaas uske zakhmon ka ho ke
Apna bhi dil bhar bhar aaye roye aankhein