(Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara… Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta) -2 Mitti ki jo khushboo, tu kaise bhoolaayega Tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega Nayi nayi raahon mein, dabi dabi aahon mein Khoye khoye dilse tere, koyi ye kahega Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta (Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…) Tujhse zindagi, hai ye keh rahi Sab toh paa liya, ab hai kya kami Yun toh saare sukh hai barse Par door tu hai apne gharse Aa laut chal tu ab diwaane Jahaan koyi toh tujhe apna maane Awaaz de tujhe bulaane, wahi des Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta (Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…) Ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi Koyi ek sadi, saari zindagi Tu na poochh raaste mein kaahe Aaye hain is tarha do raahein Tu hi toh hai raah jo sujhaaye Tu hi toh hai ab jo ye bataaye Chaahe toh kis disha mein jaaye wahi des Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta Hmm…hmm…hmm…