Udit Narayan

Main Nikla Gaddi Leke

Udit Narayan


Main nikla, o gaddi leke
O raste par, o sadak mein
Ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya...

Rab jaane kab guzra, amritsar, o kab jaane
Lahore aaya, main utthe dil chhod aaya
Ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya...

Us modh pe woh mutte yaar mili
Jatt yamla paagal ho gaya
Uski zulfon ki chhaaon mein
Main bistar dalke so gaya
O jab jaaga, main bhaaga
Sab phaatak, sab signal
Main todh aaya, main utthe dil chhod aaya
O ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya...

Bas ek nazar usko dekha
Dil mein uski tasveer saji
Kya naam tha uska, rab jaane
Mujhko raanjhe ki heer lagi
O maine dekha ek sapna
Sang uske naam apna
Main jodh aaya, main utthe dil chhod aaya
Ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya...

Sharmaake woh yoon simatt gayi
Jaise woh neend se jaag gayi
Maine kaha gal sun, o kudiye
Woh darr ke peechhe bhaag gayi
Woh samjhi o ghar uske
Chori se, o chupke se
Koi chor aaya, main utthe dil chhod aaya
Ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya..

Main nikla, o gaddi leke
O raste par, o sadak mein
Ek modh aaya, main utthe dil chhod aaya...