Ho ho, ho ho Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho Dard se dil ka sangam hai kyoon, yeh bata Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho Tujhpe jo sitam hua, dusron ka paap tha Is mein dosh hai tera kya Jis pe zulm ho gaya, usko hi mile saza Kis kitaab mein hai likha Tu kyoon odhe sar par ilzaamon ki chaadar Jab ke hai tu hi nirdosh yahan, yeh bata Ho ho, ho ho Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata Naari jo bhi ho sahe, sar jhukaaye chup rahe Yeh rawaaj hai duniya ka Tu yeh reet chhod de, tu yeh rasm tod de Yeh ilaaj hai duniya ka Kyoon aansu peeti hai, kyoon dukh mein jeeti hai Kyoon aankhon mein gham ka hai dhuaan, yeh bata Ho ho, ho ho Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho Ho ho, ho ho...