Udit Narayan and Lata Mangeshkar

Shaam Rangeen Huyee Hai, Tere Aanchal Kee Tarah

Udit Narayan and Lata Mangeshkar


shaam rangeen huyee hai, tere aanchal kee tarah
suramayee rang sajaa hai, tere kaajal kee tarah
paas ho tum mere dil ke, mere aanchal kee tarah
mere aakhon mein base ho, mere kaajal kee tarah

aasamaa hain mere aramaanonkaa darpan jaise
dil yoo dhadake meraa, khan ke teraa kangan jaise
mast aaj hawaayen, mere paayal kee tarah

meree hastee pe kabhee yoo, koee chhaayaa hee naa thaa
tere najadeek main pahale, kabhee aayaa hee naa thaa
mai hoo dharatee kee tarah, tum kisee baadal kee tarah

ayesee rangeen mulaakaat kaa matalab kyaa hain
in chhalakate huye jajabaat kaa matalab kyaa hain
aaj har dard bhoolaa do, kisee paagal kee tarah