ek boond mein dard hai laakhon kehta hai aankh ka paani marham se bhi na bharegi apne zakhmon ki nishani ek boond mein dard hai laakhon kehta hai aankh ka paani marham se bhi na bharegi apne zakhmon ki nishani haan shartein rakhi thi khushiyon ne jinko tha dard mein badalna lafzon ne chhod rakha tha hothon pe theherna aa aa meri aankhein khule jab bhi khule teri hi aahat pe jo dum baaqi hai woh nikle teri chaahat ki chaukhat pe yeh ishq nahi aasaan ik aag ka dariya hai tujhe milke hi jaana hai jeene ka tu zariya hai zara ruk ja ae bechainiyan mujhko thoda aaram de gham mil gaye hain saugat mein khushiyon ka tu ehsaan de khud se hai narazagi tere gham ka hai ehsaas bhi chal chal ke thak gaye din mere aake inko tu shaam de barfe jami thi aankhon mein inko tha phir kabhi pighalna jo likha hua hai pehle se namumkin hai badalna aa meri aankhein khule jab bhi khule teri hi aahat pe jo dum baaqi hai woh nikle teri chaahat ki chaukhat pe yeh ishq nahi aasaan ik aag ka dariya hai tujhe milke hi jaana hai jeene ka tu zariya hai meri aankhon mein hai nami jaane kaisi hai ye kami na hi sar pe mere aasmaan na hi pairon tale zameen main tukda ban ke hui khud se khud hi khafa hui mujhmein main hoon ab nahi jaane kaisi hai yeh kami haan tay hi nahi tha khushiyon ke lamhon ka kabhi theherna kuch aisa ho jisse aankhon ka band ho jaye ab barasna aa aa meri aankhein khule jab bhi khule teri hi aahat pe jo dum baaqi hai wo nikle teri chaahat ki chaukhat pe yeh ishq nahi aasaan ik aag ka dariya hai tujhe milke hi jaana hai jeene ka tu zariya hai