ek din jab savere savere surmayee se andher ki chaadar hataa ke ek parbat ke takiye se sooraj ne sar jo uthaayaa to dekhaa dil ki waadi mein chaahat kaa mausam hai aur yaadon ki daaliyon par anginat beete lamhon ki kaliyaan mahakne lagi hain ankahi ansuni aarzoo aadhi soyee huyee aadhi jaagi huyee aankhein maltey huey dekhti hai lahar dar lahar, mauj dar mauj bahti huyee zindagi jaise har ek pal nayee hai aur phir bhi wahi hai haan wahi zindagi jiske daaman mein koi mohabbat bhi hai koi hasrat bhi hai paas aanaa bhi hai door jaanaa bhi hai aur yeh ahsaas hai waqt jharne saa bahtaa huaa jaa rahaa hai ye kahtaa huaa dil ki vaadi mein chaahat kaa mausam hai aur yaadon ki daaliyon par anginat beete lamahon ki kaliyaan mahakne lagi hain kyon hawa aaj yun ga rahi hai kyon hawa aaj yun ga rahi hai kyon fiza rang chhalka rahi hai mere dil bata aaj hona hai kya chaandni din mein kyun chha rahi hai zindagi kis taraf ja rahi hai mere dil bata kya hai ye silsila kyon hawa aaj yun ga rahi hai ga rahi hai, ga rahi hai jahan tak bhi jayein nigahein baraste hain jaise ujale jahan tak bhi jayein nigahein baraste hain jaise ujale saji aaj kyun hain ye raahein khile phool kyun hain nirale khushbuein kaisi ye bah rahi hain dhadkanein jane kya kah rahi hai mere dil bata ye kahani hai kya kyon hawa aaj yun ga rahi hai ga rahi hai, ga rahi hai yeh kiska hai chehra jise main har ek phool mein dekhta hoon yeh kiska hai chehra jise main har ek phool mein dekhta hoon yeh kiski hai aawaz jisko na sun ke bhi main sun raha hoon kaisi ye aahtein aa rahi hain kaise ye khwab dikhla rahi hain mere dil bata kaun hai aa raha kyon hawa aaj yun ga rahi hai ga rahi hai, ga rahi hai