Peeli Patti aur Raja Jani kuch khoay khoay hain Un ko yeh lagta hai ke yeh dunya gol hai! Par woh to hai! Peeli Patti aur Raja Jani kuch gumsum gumsum hain Un ko yeh pata hai ke ab woh Nahi hain! Woh Nahi hain! Khoay khoay, sui chubhoy Dard Nahi hota hai! Sab soay, sab roay Yeh jahan sota hai! Phir jiyay ya maray Ab nahi parwa hai! Tum chupo, hum chupein Ek naya dhoka hai keh… Ragon mein dornay phirnay ke hum hain qayal Keh iss ke bina Nahi jeena! Khoay khoay, sui chubhoy Dil Nahi Bharta Hai! Tum hansay tum roay Gham koi karta hai? Dil jalay, dil maray Kya koi kehta hai? Hum jalain, hum marain Ab Nahi darna hai keh… Ragon mein dornay phirnay ke hum hain qayal Keh iss ke bina Nahi jeena! Tu jaan lay keh… Ragon mein dornay phirnay ke hum hain qayal Keh iss ke bina Nahi jeena! Yeh Duniya GOL hai!!