Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le Aa zara mere humnasheen thaam le mujhe thaam le Zindagi se bhaag kar aaya hoon main mujhe thaam le Aa zara mere humnasheen... Apni hasti se khud main pareshaan hoon Jiski manzil nahin aisa insaan hoon Apni hasti se khud main pareshaan hoon Jiski manzil nahin aisa insaan hoon Main kahaan tha kahaan se kahaan aa gaya Kya se kya ho gaya main bhi hairaan hoon Aa zara mere humnasheen... Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya Ab na royenge hum roshni ke liye Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya Ab na royenge hum roshni ke liye Dil ka sheesha jo toota to ghum kyon kare Dard kaafi hai bas zindagi ke liye Aa zara mere humnasheen... Raat aati rahi raat jaati rahi Mere ghum ka na lekin savera hua Raat aati rahi raat jaati rahi Mere ghum ka na lekin savera hua Apne, apne naseebon ki baatein hain ye Jo mila humko uska bahot shukariya Aa zara mere humnasheen...