(meri maa ne meri maa ne laga diye solaah button meri choli mein mere baabul o mere baabul tu ab jaldi se baithaade mujhe doli mein) - 2 mere baabul tu ab jaldi se baithaade mujhe doli mein meri paayal mein satara ghungroon - main sataraan saal ki huyi yehi to woh o yehi to woh umar hai jis mein ke sohni mahiwaal ki hui - 2 mere haathon mere haathon mere haathon mein atharaah chudiyaan main chham chham nachadi phiraan pichhe picche meri laaj nighodi main aage aage nachdi phiraan - 2 jhuti dari pe mooch laga ke, dagaa wo beimaan reh gaya aaya banke o aaya banke gali ka darzi, kameez ka woh naap le gaya - 2 kaise de doon haay kaise de doon de doon kaise de doon main dil tujhe sajana yeh dil hai rumaal to nahin kaise le loon kaise le loon main tere kangna kahin yeh koi chaal to nahin koi ladka pasand nahin aaya ke bas maine na kardi naam uska naam uska magar jab aaya to phat maine haan kardi oy shava shava shava kaise jaaon sajana se milne main kaise ikraar karloon sab poochenge o (sab poochenge aayi kahaan se bahana taiyaar kar loon) - 2 mere nainon ke teer kamaan se churaake saare teer le gaya main naha ke talaab se nikali woh meri tasveer le gaya kuch de ke kya? kuch de ke use tu waapas woh teri tasveer maang le aisa na ho (aisa na ho ke chouraahein pe woh teri tasveer taang de) - 2 mujhe sakhiyon mujhe sakhiyon mujhe sakhiyon aise na nachaao ki yeh hai sasuraal meri mere lehnge mein o mere lehnge mein ghoongroon lagaoo to phir dekho chaal meri mere lehnge mein ghoongroon lagaoo to phir dekho chaal meri meri maa ne laga diye solaah button meri choli mein mere baabul o mere babul tu ab jaldi se baithaade mujhe doli mein mere baabul tu ab jaldi se baithaade mujhe doli mein