Lata Mangeshkar

Dene Waale Kisi Ko Garibi Na De

Lata Mangeshkar


dene waale kisi ko garibi na de
mout de de magar, bad-naseebi na de
dene waale

hue paida garib hai, ye kis ki khata,
hum ko duniya men kyun, tune laaya bata,
kyun hai chup, kuchh bata, kuchh bata
dene waale

chheen li har khushi, aur kaha ke na ro,
ghum hazaaron diye, dil bhi dene ke saath,
kar ke sou sou sitam, khush na ho, khush na ho
dene waale

chhod kar yeh jahaan,bol jaaye kahaan
koi gham-khwaa na hai, na koi meherabaan
khud kahe, khud sune, daastaan, daastaan
dene waale