Jubin Nautiyal

Tu Mera Hogaya Hai

Jubin Nautiyal


tu mera ho gaya hai
aaye na yaqeen yeh
tu mera ho gaya hai
khwaab toh nahi yeh
tu mera ho gaya hai ya ke nahi

tu mera ho gaya toh
jannat zameen pe
tu mera ho gaya hai
khwaab toh nahi yeh
tu mera ho gaya hai ya ke nahi

agar yeh khwaab hai toh
main tera hi khwaab rahunga
nahi ab chain ki chahat
yoon hi betaab rahunga

agar yeh khwaab hai toh
main tera hi khwaab rahunga
nahi ab chain ki chahat
yoon hi betaab rahunga

tu mera ho gaya hai
baat hai haseen yeh
tu mera ho gaya hai
aaye na yaqeen yeh
tu mera ho gaya hai ya ke nahi

pehle se zyada sheesha main dekhun
pehle se zyada hasta rahun
main jab akela hota hoon tab bhi
tumse hi baatein karta rahun

pehle se zyada sheesha main dekhun
pehle se zyada hasta rahun
main jab akela hota hoon tab bhi
tumse hi baatein karta rahun

agar pagalpana hai yeh
to paagal aaj rahunga
teri hasti nigahon ka
main banke raaz rahunga

agar pagalpana hai yeh
to paagal aaj rahunga
teri hasti nigahon ka
main banke raaz rahunga

jahan tu hai yeh dil bhi
aata hai wahi pe
tu mera ho gaya hai
khwaab to nahi yeh
tu mera ho gaya hai ya ke nahi

jeena hai mujhko teri liye hi
yeh fasla hai maine kiya
teri hi khatir marna bhi chahun
marna hai lekin bas shaukiyan

agar jaadu hai yeh tera
utarne na ise dena
mujhe kaabu mein kar le tu
sambhalne na mujhe dena

agar jaadu hai yeh tera
utarne na ise dena
mujhe kaabu mein kar le tu
sambhalne na mujhe dena

hua bhi hai yeh sach mein
ya hua nahi yeh
tu mera ho gaya hai
khwaab to nahi yeh
tu mera ho gaya hai ya ke nahi