Maine jab dekha tha tujhko Raat bhi woh yaad hai mujhko Taare ginte ginte so gaya Dil mera dhadka tha kass ke Kuch kaha tha tune hans ke Main usi pal tera ho gaya Aasmanon pe jo khuda hai Usse meri yehi dua hai Chaand yeh har roz main dekhun Tere saath mein Aankh uthi mohabbat ne angdayi li Dil ka sauda hua chandni raat mein Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya Lut gaye hum to pehli mulakaat mein Ho aankh uthi Paanv rakhna na zameen par Jaan ruk ja tu ghadi bhar Thode taare to bichha doon Main tere vaaste Aazma le mujhko yaara Tu zara sa kar ishara Dil jala ke jagmaga doon Main tere raaste Mere jaisa ishq mein pagal Phir mile ya na mile kal Sochna kya haath yeh de de Mere haath mein Aankh uthi mohabbat ne angdayi li Dil ka sauda hua chandni raat mein Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya Lut gaye hum to pehli mulakaat mein Ho aankh uthi Haan kisse mohabbat ke Hain jo kitaabon mein Sab chahta hoon main Sang tere dohrana Kitna zaroori hai Ab meri khatir tu Mushqil hai mushqil hai Lafzon mein keh paana Ab to yeh aalam hai Tu jaan maange toh Main shauk se de doon Saughaat mein Aankh uthi mohabbat ne angdayi li Dil ka sauda hua chandni raat mein Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya Lut gaye hum to pehli mulakaat mein Ho aankh uthi Lut gaye hum to teri mohabbat mein