Bat niklegi to phir dur talak jayegi Log bewaja udasi ka sabab pochhenge Ye bhee pochenge ke tum itne pareshan kyo ho Ongliyan uthenge sokhe huye balo ke taraf Ek nazar dekhenge guzre huye salon ke taraf Chodiyon par bhi kai tanz kiye jayenge Kanpate hathon pe bhee fikre kase jayenge Log zalim hai har ek bat ka tanaa denge Baton baton mein mera zikr bhee le ayenge Unke baton ka zara sa bhe asar mat lena Warna chehre ke tasur se samajh jayenge Chaahe kuchh bhi ho sawalat na karna unse Mere bare me koi bat na karna unse Bat niklegi to phir door talak jaayegi