Jagjit Singh

B]]Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar

Jagjit Singh


]Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste 
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki 
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Hamaare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Tell A Friend