Jagjit Singh

Haath Chhute Bhi To Rishtey Nahi Choda Karte

Jagjit Singh


haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte - 2
waqt ki shaakh se, lamhe nahin toda karte
haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte

jiski aawaaz mein silwat ho, nigaahon mein shikan - 2
aisi tasbir ke tukade nahi joda karte - 2

shehad jine ka mila karata hai thoda thoda - 2
jaanewaalon ke liyein dil nahin thoda karte - 2

lagake saahil se jo behata hai use behane do - 2
aise daryiyaan ka kabhi rukh nahin moda karte - 2
waqt ki shaakh se, lamhe nahin toda karte
haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte

Consentimento de cookies

Este site usa cookies ou tecnologias semelhantes para aprimorar sua experiência de navegação e fornecer recomendações personalizadas. Ao continuar a usar nosso site, você concorda com nossos Políticas de Privacidade