dardnaak dhaak ki badal de tu khuraak re
mazaak jo udayega chamaat de phataak se
dar nahi to ghis gayi jo teri teekhi naak ye
maang bas khuda se hausle ki ek shabaak re

cheetiyon ki nasal pe dhayaan de zara
jo ro ke na uthaati dana cheeni ka

aukaat ko badal de
din hai saath woh badal de
tera agla pichhla
tu badal le ke badla aa

tu dooje nazariye se dekh
woh dikhenge daanav jo dikh rahe the nek
bheje ko khol samne to dekh
aise kisi ke samne bhi maatha na tek
dekh tu upar se
dekh tu right se
bhaanp le khatra tu har ik side se
sikke ka teesra pehlu toh dekh
museebat ko bol do ghisenge side pe

muscle ka tod akal se dekh
tu chhodna kasar nahi
gaad mat beizzati ke beej ugegi
gandi fasal hi gutter si
jo kaale ujale mein palti
phir aage naa jaake badalti

raaton ne tujhko jo badla
tu lele to khud ka badla
yoon dar ke baith ke na hak agla

aukaat ko badal de
din hai saath woh badal de
tera agla pichhla
tu badal le ke badla

badla!