jhootha jag rain basera saancha dard mera mrig-trishna sa moh piya naata mera tera naina jo saanjhe khwab dekhte the naina bichad ke aaj ro diye hain yun naina jo milke raat jaagte the naina sehar mein palken meechte hain yun juda huye kadam jinhone li thi ye kasam milke chalenge hardum ab baant'te hain ye gham bheege naina jo khidkhiyon se jhankte the naina ghutan mein band ho gaye hai yun saans hairaan hai mann pareshaan hai ho rahi si kyun ruaansa ye meri jaan hai kyun nirasha se hai aas haari huyi kyun sawaalon ka utha sa dil mein toofaan hai naina thhe aasmaan ke sitaare naina grahan mein aaj toot'te hain yun naina kabhi jo dhoop senkte thhe naina thehar ke chhaaon dhoondhte hain yun juda huye kadam jinhone li thi ye kasam milke chalenge hardum ab baant'te hain ye gham bheege naina jo sanjhe khwab dekhte the naina bichhad ke aaj ro diye hain yun