Na Maine kuch kaha hai Na usne kuch suna hai Yeh khwab toh akele Meri aankhon ne buna hai Tadap hai sirf meri Guroor bas mera hai Nahi woh isme shamil Kasoor bas mera hai Toh kya hua jo haal Woh mera nahi samjhta Mera pyaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Yeh bahaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Kabhi din hai dhundhle dhundhle Kabhi dhoop jaisi raatein Koyi sarphira hi samjhein Yeh sarphiri si baatein Kayi taufe aur duaein Main fizool bhejti hoon Uski taraf se khud ko Main phool bhejti hoon Ajeeb sa nasha hai yeh Nasha nahi utarta Mera pyaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Yeh bahaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Abhi kal hi toh mili thi Khwabon ke mod par woh Bheega tha raat bhar main Barsi thi raat bhar woh Jadoo hai ek aisa Jo main hi jaanta hoon Usko chhuye bina bhi Uske gale laga hoon Ab uske bin na ek pal Mera kabhi guzarta Mera pyaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Yeh bahaar ek tarfaa Mera pyaar ek tarfa Jismon ka faasla dilon ki doori to nahi Pehli mohabbat aakhiri ho yeh zaroori toh nahi