Alka Yagnik

Kuchh Kasme Hai Jawan

Alka Yagnik


Kuchh kasme hai jawan kuchh wade hai hasin
kaisa hai yeh asar jadu hai dekho har kahi
kuch dil mein pyas hai aur tu bhi pas hai
woh jhuk kar aasman lagta hai chume yeh zamin

jab kahi chalte hai yeh pyar ki hawa
yeh dil wahi panchhi banke udta hai
aur kya hota hai is pyar mein bata
yeh ishq ka tufan kaise thamata hai
chayi bekhudi yeh kaisi dilkashi
chahat ki har ada kitni dekho hai shabnami
kuch dil mein pyas hai

dil hi to samje hai jo dil ki hai juban
na samja hai na samjhega jahan
dub ke mohabbat mein kuch to payenge
sahil pe moti hote hain kahan
kuch rishte hai naye kuch batein ankahi
barish hai pyar ki bhigegi aaj dil ki zamin
kuch kasme hai jawan kuch wade hai hasin
kaisa hai yeh asar jadu hai dekho har kahi