Alka Yagnik

Tum Toh Sagar Jaisi Lag Rahi Ho

Alka Yagnik


Tum toh sagar jaisi lag rahi ho, mere dil me pyas hai
kya pyas hai, ehsas hai, khulke yeh batlayiye
hum toh bahut nadan hai, kuchh aap samjhayiye

sath apna hai ghadiya suhani, aao likh de nayi ek kahani
jo hai likhna tumhe in labo pe likho, umarbhar jo rahegi nishani
achchha jara mere pehlu me aao
tum toh sagar jaisi lag rahi ho, mere dil mein pyaas hai

dil se dil aaj aise mile hain, pyar ki had se aage chale hain
main bhi ek aag hu, tu bhi ek aag hai, kitne shole badan me jale hain
jao na abb dur mujhse na jao
tum to sagar jaisi lag rahi ho, mere dil me pyas hai
kya pyas hai, ehsas hai, khulke yeh batlayiye
hum toh bahut nadan hai, kuchh aap samjhayiye