Alka Yagnik

Udja Kaale Kaawan Tere Moonh

Alka Yagnik

Udja kaale kaawan tere moonh vich khand paawan
Leja tu sandesa mera, main sadke jaawaan
Baagon mein phir jhoole padh gaye
Pak gayan mitthiyaan ambiyaan
Yeh chhoti si zindagi te raata lambiyaan lambiyaan
O ghar aaja pardesi, ke teri meri ek jindri

Chham chham karta aaya mausam
Pyaar ke geeton ka
Ho, chham chham karta aaya mausam
Pyaar ke geeton ka
Raste pe ankhiyaan rasta dekhe
Bichhde meeton ka

Aaj milan ki raat na chhedo baat judaai waali
Main chup, tu chup, pyaar sune
Bas pyaar hi bole khaali
O ghar aaja pardesi, ke teri meri ek jindri
Hoye, o ghar aaja pardesi, ke teri meri ek jindri

O mitra, o yaara, yaari todke mat jaana
Ho, o mitra, o yaara, yaari todke mat jaana
Maine jag chhoda, tu mujhko chhodke mat jaana

Aisa ho nahin sakta, ho jaaye to mat ghabraana
Main daudi aaungi, tu bas ek awaaz lagaana