Alka Yagnik

Aa Ab Laut Chalen

Alka Yagnik


Dulhan Si Saji Dharti Khula Yeh Aasman
bulata Hai Humein Phir Woh Chaahat Ka Samaa
aa Ab Laut Chalen

anjaan Tha Maein Naadan Tha Maein
tere Pyar Ko Jo Na Samajh Paaya
tune Itna Bechain Kiya
maein Tere Paas Chala Aaya
teri Saansein Mera Jeevan
mere Dil Mein Tera Ghar Hai
zara Dekhe Koi Isko
yeh Jannat Se Bhi Sundar Hai
bina Tere Nahin Chaina
nahin Chaina Yahaan
aa Ab Laut Chalen

ek Pal Ke Liye Ek Din Ke Liye
na Door Maein Tujhse Jaungi
teri Palkon Ki In Galiyon Mein
sapno Ki Sej Sajaungi
tujhe Dekhun Tujhe Chaahun
teri Khushboo Mein Kho Jaun
yahi Meri Tamanna Hai Teri Baahon Mein So Jaun
dard-e-dil Nahin Sehna
nahin Sehna Yahaan
aa Ab Laut Chalen